Monday, July 27, 2009

ये है मेला ......

Aap kabhi delhi bus se gaye hain, to aapne dekha hoga ki jaise hi aap aadhi neend me hote hain, waise hi aapki bus ko break lagte hain aur bus aadhi raat ko gazraula ke dhabenuma restaurent me ja rukti hai. Ek aadmi aakar bus yatriyo ko khane ka nimantran dekar chale jata hai. Yah hota hai…. Gazraula ka MELA restaurent. Janab yaha galti se bhi khana mat khaeyega..chahe aap meri tarah ghar se khana na la paye ho. Ek baar jo fas gaya, wah fir tauba kar leta hai. Jiske bhi maine vichar jane, usne yahi farmaya. Lekin bhai sahab, yaha bus ke driver aur conductor ki khub sewa hoti hai. Aapki tandoori roti mai itne paththar aur mitti ke kan niklenge ki aap yakin nahi kar payenge. Sabji kai dino ki baasi aur us season ki sabse sasti sabji hogi. Koi sahi swad lagne wali cheez aapne manga bhi li to waitor tab layega, jab bus start ho chuki hogi. Paise aap pahle de chuke honge kyoki aapne token liya hoga. Aap man masos kar rah jayenge aur pariwahan nigamon ko jee bhar kar kosenge. Ajee paiso ka ye khel to chalta rahega, janta ka pratyek banda hi aise farzi dhabon ko good bye kahe aur ho sake to bus se hi na utre…pana virodh bus ki shikayat-pustika me jarur darz karaye..MELA dhabe mai aap bhi kisi anubhav se guzre hon to mujhe jarur batana….